Thursday, July 5, 2018

Yaadein..Yaad Aati Hain!!

Zindagi ke guzre vo zamane yaad hai,
kehte the jise bachpan vo yaadein yaad hai;
Khush ho jata tha mann ye soch k raat bhar,
Ke unko milne ke sabhi vo bahane yaad hai!!

Na fikr thi koi na kisi ka dar tha,
Bas baaton mein unka or unka hi Zikr tha;
Jo baat thi dil mein vo dil mein hi reh gayi;
Jane zubaan pe aate aate, khamoshi si cha gayi;
Ab sochta hu vo lamhe to ankh bhar aati hai yaro,
Ye baat thi dil ki jo dil mein hi reh gayi!!

Un bachpan ki yaadon mein doob jane ka mann karta hai,
fir se wahi haseen kisse dohrane ka mann karta hai;
Vo yaar zindagi mein fir kabhi mile hi nahi yaaro,
Un yaadon mein wahi tham jane ka dil kiya karta hai!!

Hum aaj bhi fursat mein un lamho ko yaad karte hai,
Jo the kareeb hamare, aksar unka zikr kiya karte hain;
Simat ke reh gayi hai zindagi kuch is tarah;
Jo kareeb the vo dur ho gaye, or hum yaadon mein unka;
bas zikr or zikr kiya karte hain!!